website blog kaise banaye
website blog banana bohat he aasaan he
bas aap ko mere aasaan steps ko follow karein.
1- website blog banane ke leye aap ko
www.blogger.com per ja ker
apne google ki gmail se sign in karna perega.
2- sign in karne ke baad
aap ka blogger account open ho jayega.
3- ab ap ke blogger account main oper he
new blog ka option dakhai dega,
4- click karne ke baad aap ke samne new blog banane
ke leye page open ho jaye ga, wahan likha hoga
Title >> es me aap ko apne
website blog ka naam likhna hai
next line me
Adress>> likha howa hoga es me aap ko apne
blog ka url likhna hai url six-seven words ka hona chahye
es leye ta ke blog jald is jald ban jaye.
EXAMPLE:-
yourblogname.blogspot.com
your blog name ki jagha aap
apni passand ka naam likhein
jaise koe bhe naam ho kisi shop ka ho,
kisi city ka ho
ya aap ka koe lovely naan ho etc
lekin yaad rahe
wo naam kisi or blog ka nahi ho,
jaise mere blog ka naam he fammaza.blogspot.com
ager aap ne ye naam likha to wo invalid url bataiega
mager aap apni koshish jari rakhein
ap ko be aap ki blog ka url mil jayega
Qyoun ke mujhy bhe ye ese he mila,
chaar-panch baar alag alag type ke naam deye
tab ja ke ye naam mila.
5- url valid ho jane per aap ko tamplate select
kar ke submit ker dena hoga.
6- phir NEW POST per click kar ke post likhni hogi,
post karne ke baad aap ka website blog tayar ho jaye ga
ab aap kisi dosre mobile ya pc se apni website blog
ko dekh sakte hen zeyada malomat ke leye mere agli post parhen
umeed karta ho ap ko mere post passand aai ho gi.
Post a Comment