Blogger Par Tamplete Change Ya Upload Kaese Karein 100% Sample

Blogger par Blog banana to bohat aasan he vo me ne pechli post me lekha ke
 ham kaise apna Blog free me bana sakte he 2 mints me !
Ham blog banate he or us par mahanat kar ke achi achi 
article share karte hain, 
par agar vo dosre logo tak na ponche to kia faida, es me hamare blog 
ka template bhe bohat bara kirdar aada karta he, 
Hamare Blog ka Template SEO friendly hona chaheye, 
ta ke koi agar Google me search kare to hamare b
log search me aaie.
Blogger ki team ne phele se bohat se free template deye howe hain
 mgar vo bohat purane he or ham jante he
 ke Search Engines ke search karne ke tarike badalte he jaa rahe hain, 
ab hamen zarorat he ek new SEO Friendly template ke,
Template Mobile Friendly bhe hona chaiye matlab aap ka blog
 mobile me bhe acha dekhe Q ke ham phaly se jante hain
 ke zeyada tar log mobile par he internet chalate hain,
Blogger ka Template ham agar Google me Search karen
 "blogger tamplate free download" kare to template aajaaie ge
 un me se ap apni zarorat ke hisab se select kar ke us ko apne
 blog par use kar sakte hain, hamain vo upload karna parta he, 
aaj me ap ko ye bhe bataoga ke
 Blogger par Template ko Upload kaise karein ge.
Template ko Download karne ke leye 
me aap ko ek best and sample website batata hun, 
wo ye he "gooyaabitemplates .com" is site par 
aapko bohat se free template mil jaaiege.
Note:Jo Template ki file hai vo Winrar me hai, 
Is leye phele aap ko WinRAR Software computer me
 Install karke fir Template ki file ko Bahir nikalna padega.
Download WinRAR
Apne blog ke liye Template ko Download karne ke baad aap ko kya karna he.
Step 1-
Blogger.com par jakar Login karen
Step 2-
Apne Blog ke Dashboard pe jaien
Step 3-
1.Template section me jaein
2.Backup/Restore ki button par click karen 

fammaza.blogspot.com



Step-4
Ab ek popup window khulegi

fammaza.blogspot.com

1. Apna template upload karne se phele Download full template
 par click or apna purana template Download kar le,
 Faraz karain ke hamare new template me
 agar kuch kharabi aaie to ham wapas apna purana template upload kar saken.
2.Apna New Template Choose File par click kar ke
 computer me se Select kare. Jo Blogger Template
 ke file hoti he vo "XML format" me hoti hai.
3.Select karne ke baad Upload ke button pe click karein 
Ye lejeye Aap ka new template ab upload ho chuka he! 
ab ap veiw blog par click kar ke new desgin and new style dekh sakte hain.
Or agr Aap ko koe bhe pareshani aa rahe he to 
ap comment kar ke bata ke poch sakte hain.
umeed karta hoon Ap Ko ye post pasand eeie hogi...






Post a Comment

Previous Post Next Post